Mohammad Siddiq Saib Tonki

tu nahin to zindagi aazar hai tere baghair

Mohammad Siddiq Saib Tonki

tū nahīñ to zindagī āzār hai tere baġhair
zindagī zinda-dilī par baar hai tere baġhair
zindagānī se kise inkār hai tere baġhair
zindagānī hai magar bekār hai tere baġhair
aa ki paiham ab ye hāl-e-zār hai tere baġhair
har-nafas ik tez-rau talvār hai tere baġhair
nañg ho kyuuñ kar na mere vāste duniyā mirī
zindagī merī mujhe ḳhud aar hai tere baġhair
aa tujhe merī qasam mushkil mirī āsān kar
ziist kā har marhala dushvār hai tere baġhair
pūchhte haiñ log mujh se merī ḳhāmoshī kā haal
be-zabānī meñ mirī guftār hai tere baġhair
lamha lamha hai kisī kā be tire sūhān-e-rūh
lamhe lamhe se koī bezār hai tere baġhair
vāsta tujh ko masīhā.ī kā terī jald aa
naza.a ke aalam meñ ik bīmār hai tere baġhair
fasl-e-gul sab kī nazar meñ hai magar mere liye
ik ḳhizāñ meñ ālam-e-gulzār hai tere baġhair
ye bajā har gul hai vaj.h-e-zīnat-e-gulshan magar
merī duniyā-e-nazar meñ ḳhaar hai tere baġhair
nuur se ma.amūr hai har gul ba-sahn-e-bostāñ
qatra-e-shabnam nazar meñ taar hai tere baġhair
ye bahārāñ ye shabāb sabza-e-nau-ras na pūchh
baaġh kyā hai ma.adin-e-zañgār hai tere baġhair
is fazā-e-abr meñ ġhusl-e-havā.ī kī qasam
mauja-e-bād-e-sabā āzār hai tere baġhair
aa ki ye kaalī ghaTā ab tere gesū kī qasam
ik balā sī bar-sar-e-kohsār hai tere baġhair
Top Urdushayar.com