Mohammad Siddiq Saib Tonki

aaKHiri hichki pe hai nashshe ki saghar jaga

Mohammad Siddiq Saib Tonki

āḳhirī hichkī pe hai nashshe kī sāġhar jaagā
pyaas ko niiñd jab aa.ī to samundar jaagā
raat bhī din kī tarah merī pareshāñ guzrī
maiñ na jaagā to mire ḳhvāb kā paikar jaagā
ek aahaT sī achānak huī dil ko mahsūs
kisī derīna tamannā kā muqaddar jaagā
sub.h hote hī ḳhudā jaane chalā jaa.e kidhar
rāt-bhar shāḳh pe is ġham meñ gul-e-tar jaagā
thartharāne lage kyuuñ shīsh-mahal aap se aap
kyā kisī TuuTe makāñ kā koī patthar jaagā
lauT aa.e vahī āvārā-o-gum-gashta ḳhayāl
aañkh khulte hī nazāroñ kā samundar jaagā
chhoḌ aayā thā jo maiñ pichhle janam meñ 'sā.ib'
zehn meñ aaj un armānoñ kā lashkar jaagā
Top Urdushayar.com