nigāh-e-ahl-e-jahāñ meñ shikasta-hāl huuñ maiñ
javāb jis kā nahīñ hai vo ik savāl huuñ maiñ
buland huuñ to sar-e-arsh-e-zul-jalāl huuñ maiñ
jo past huuñ to phir ik farsh-e-pā.emāl huuñ maiñ
bhulā sakeñge abad tak na ahl-e-dard mujhe
jahān-e-ishq-o-mohabbat meñ lā-zavāl huuñ maiñ
mirā maqām har ik dil meñ hai judāgāna
agar yaqīn nahīñ huuñ to ehtimāl huuñ maiñ
urūj-o-past mirā dars hai jahāñ ke liye
banā huuñ badr kabhī to kabhī hilāl huuñ maiñ
chaman meñ haa.e vo ik barg-e-zard kā kahnā
bahār-e-hāl meñ yād-e-guzishta-sāl huuñ maiñ
majāl-e-dīd hai 'sā.ib' na tāb-e-nutq mujhe
kisī ke sāmne tasvīr kī misāl huuñ maiñ