Mohammad Siddiq Saib Tonki

jaane kya chehre ki ab haalat hui

Mohammad Siddiq Saib Tonki

jaane kyā chehre kī ab hālat huī
ā.īna dekhe hue muddat huī
āñsuoñ tak dil ne pahuñchā dī ḳhabar
rāzdārī bā.is-e-shohrat huī
kar liye raushan vahīñ dil ke charāġh
raah meñ haa.il jahāñ zulmat huī
jaam kā kyā zikr TuuTe saaz tak
ik faqīh-e-shahr se hujjat huī
yaad ne har zaḳhm taaza kar diyā
ḳhud ḳhalish apnī jagah lazzat huī
ham rahe bedār un kī yaad meñ
un ko apne ḳhvāb se nisbat huī
pūchhtā thā kaun tere shahr meñ
paañv kī zanjīr se izzat huī
dekh kar un kī navāzish be-karāñ
aaj 'sā.ib' arz kī himmat huī
Top Urdushayar.com