Guftar Khayali

zindagi ki raushni ke istiare KHwab hain

Guftar Khayali

zindagī kī raushnī ke isti.āre ḳhvāb haiñ
dekhiye ta.abīr kyā ho kitne pyāre ḳhvāb haiñ
buḳhl hai karte nahīñ ḳhvāboñ kī ḳhushiyoñ meñ sharīk
aao ham dete haiñ tum ko jo hamāre ḳhvāb haiñ
jin kī āñkheñ thī haqīqat ke tajassus meñ magan
un kā dāmāñ dekhiye saare ke saare ḳhvāb haiñ
jāgte meñ so rahā thā un ke jazboñ kā shu.ūr
niiñd us kī hai magar us meñ hamāre ḳhvāb haiñ
be-sukūñ lamhoñ meñ sonā hai girāñ ehsās kā
qarz hai ta.abīr un kī jo udhāre ḳhvāb haiñ
so gayā thā vaqt ke neze pe sar rakkhe hue
maiñ ne ye kaisī bulandī se utāre ḳhvāb haiñ
ham haqīqat meñ guzar jā.eñge ḳhvāboñ kī tarah
raushnī, zulmat, mah-o-ḳhurshīd saare ḳhvāb haiñ
Top Urdushayar.com