Pakiza Beg

hum log na nikle to safar kaun karega

Pakiza Beg

ham log na nikle to safar kaun karegā
duniyā ko haqīqat kī ḳhabar kaun karegā
phir koh-kanī kā hai taqāzā koī aa.e
ik kaam hai karne kā magar kaun karegā
ham ne to charāġhoñ kī tarah farz nibhāyā
ab raat kī kālak ko sahar kaun karegā
alfāz kī bochhāḌ hai aur gosh-e-samā.at
kyā jāniye patthar pe asar kaun karegā
be-rahmī-e-hālāt hai hathiyār sambhālo
bhāgoge to sīnoñ ko sipar kaun karegā
phir kaun luTā degā dil-o-jān sar-e-bazm
phir zulf-e-girah-gīr ko sar kaun karegā
Top Urdushayar.com