shahr badlā huā sā lagtā hai
har koī uuprā sā lagtā hai
mujh ko aksar ḳhud apne andar hī
kuchh bhaTaktā huā sā lagtā hai
jaane kyā baat hai ki ghar mujh ko
roz girtā huā sā lagtā hai
mujh ko har shaḳhs apnī bastī kā
ḳhud se rūThā huā sā lagtā hai
dard se yuuñ najāt kab hogī
vaqt Thahrā huā sā lagtā hai
zaḳhm khaa.e hue zamāna huā
dard ab tak nayā sā lagtā hai
dāstāneñ haiñ ḳhuub sab kī magar
apnā qissa judā sā lagtā hai