raah meñ yuuñ to marhale haiñ bahut
ham-safar phir bhī aa ga.e haiñ bahut
ye alag baat ham na DhūñDh sake
varna manzil ke rāste haiñ bahut
jin ko manzil na rāste kā pata
aise rahbar hameñ mile haiñ bahut
aao sūraj ko chhīn kar laa.eñ
ye añdhere to baḌh ga.e haiñ bahut
duur kī manzileñ haiñ nazroñ meñ
ab ke yāroñ ke hausle haiñ bahut
ik junūñ kā jo daur thā mujh par
us ke qisse hī ban ga.e haiñ bahut
baat kyā hai ki in dinoñ ham log
sochte kam haiñ bolte haiñ bahut