chāhā jin ko bhī zindagī kī tarah
vo mile mujh ko ajnabī kī tarah
mujh ko ilhām ho gayā shāyad
baat kartā huuñ ik nabī kī tarah
jaane kitne savāl ubhre haiñ
jab bhī sochā hai falsafī kī tarah
saarā manzar nikhartā jaatā hai
kaun hañstā hai aap hī kī tarah
ḳhuub charchā hai go saveroñ kā
raat phir bhī hai raat hī kī tarah
vaqt kī baat hai ki ab tum bhī
ham se milte ho ajnabī kī tarah
ye darindoñ kā shahr hai is meñ
kaun miltā hai aadmī kī tarah