phir fazā meñ koī zahrīlā dhuāñ bhar jā.egā
phir kisī din apne andar kuchh na kuchh mar jā.egā
phailtā jaatā hai ye jo har-taraf ik shor sā
ek sannāTā kisī dahlīz par dhar jā.egā
yuuñ rahā to saare manzar bad-numā ho jā.eñge
ik bhayānak rañg har tasvīr meñ bhar jā.egā
kar rahā hai apnī bastī meñ jo ḳhushiyoñ kī talāsh
koī tīkhā dard apne saath le kar jā.egā
yuuñ achānak bhī huā kartā hai koī hādisa
mujh ko kyā ma.alūm thā vo is tarah mar jā.egā
chhā ga.ī nafrat kī gahrī dhuñd itnī duur tak
pyaar kā sūraj vahāñ tak kaun le kar jā.egā
rāh-rau ab tak khaḌe haiñ raah meñ is aas par
koī aa.egā idhar aur kuchh na kuchh kar jā.egā