koī manzil bhī nahīñ hai koī rasta bhī nahīñ
aur sab mahv-e-safar haiñ koī ruktā bhī nahīñ
har taraf be-rañg sī gahrī udāsī kā jamāv
ek rañgīñ ḳhvāb jo nazroñ se haTtā bhī nahīñ
kis tarah thāme hue haiñ ḳhud ko us bastī ke log
koī mutavāzin nahīñ hai aur phisaltā bhī nahīñ
ik musalsal sī ye sa.ī-e-rā.igāñ ye kāvisheñ
ek patthar sā ye manzar jo pighaltā bhī nahīñ
be-sabab sī Tiis dil meñ mustaqil hotī huī
jazba-e-bebāk jo dil meñ utartā bhī nahīñ
har taraf ye dhuup har-dam tez-tar hotī huī
mom kā ik shahr lekin jo pighaltā bhī nahīñ