Akhtar Shumar

zara si der thi bas ek diya jalana tha

Akhtar Shumar

1960
zarā sī der thī bas ik diyā jalānā thā
aur is ke ba.ad faqat āñdhiyoñ ko aanā thā
maiñ ghar ko phūñk rahā thā baḌe yaqīn ke saath
ki terī raah meñ pahlā qadam uThānā thā
vagarna kaun uThātā ye jism o jaañ ke azaab
ye zindagī to mohabbat kā ik bahāna thā
ye kaun shaḳhs mujhe kirchiyoñ meñ baañT gayā
ye aa.ina to mirā āḳhirī Thikāna thā
pahāḌ bhāñp rahā thā mire irāde ko
vo is liye bhī ki tesha mujhe uThānā thā
bahut sambhāl ke laayā huuñ ik sitāre tak
zamīn par jo mire ishq kā zamāna thā
milā to aise ki sadiyoñ kī āshnā.ī ho!
ta.āruf us se bhī hālāñki ġhā.ebāna thā
maiñ apnī ḳhaak meñ rakhtā huuñ jis ko sadiyoñ se
ye raushnī bhī kabhī merā āstāna thā
maiñ haath hāthoñ meñ us ke na de sakā thā 'shumār'
vo jis kī muTThī meñ lamha baḌā suhānā thā
Top Urdushayar.com