saarī ḳhilqat ek taraf thī aur divāna ek taraf
tere liye maiñ paañv pe apne jam ke khaḌā thā ek taraf
ek ik kar ke har manzil kī samt hī bhuul rahā thā maiñ
dhīre dhīre khīñch rahā thā terā rishta ek taraf
donoñ se maiñ bach kar tere ḳhvāb-o-ḳhayāl se guzar gayā
dil kā sahrā ek taraf thā aañkh kā dariyā ek taraf
aage aage bhaag rahā huuñ ab vo mere pīchhe hai
ik din terī chaah meñ kī thī maiñ ne duniyā ek taraf
dūsrī jānib ik bādal ne baḌh kar Dhāñp liyā thā chāñd
aur āñkhoñ meñ Duub rahā thā dil kā sitārā ek taraf
vaqt-juārī kī baiThak meñ jo aayā so haar gayā
'aḳhtar' ik din maiñ bhī dāman jhaaḌ ke niklā ek taraf