Akhtar Shumar

hisar-e-qarya-e-KHunbar se nikalte hue

Akhtar Shumar

1960
hisār-e-qarya-e-ḳhūñbār se nikalte hue
ye dil malūl thā āzār se nikalte hue
baḌī hī der talak dhuup mujh ko chhū na sakī
tumhāre sāya-e-dīvār se nikalte hue
ki phir se taḳht ko aanā thā mere qadmoñ meñ
maiñ pur-yaqīn thā darbār se nikalte hue
shuā-e-nūr ke phūTe se jaañ laraztī thī
tumhārī garmi-e-ruḳhsār se nikalte hue
tumhāre dhyān meñ gum ho ga.ī thī mahkī havā
hudūd-e-jāda-e-gulzār se nikalte hue
maiñ lauT aayā tujhe chhoḌ kar magar aadhā
vahīñ rahā dar-o-dīvār se nikalte hue
fazā meñ der talak ḳhuub jagmagāte 'shumār'
vo lafz shoḳhi-e-guftār se nikalte hue
Top Urdushayar.com