merī apnā.ī huī qadroñ ne hī nochā mujhe
tū ne kis tahzīb ke patthar se lā bāñdhā mujhe
maiñ ne sāhil par jalā diiñ maslahat kī kashtiyāñ
ab kisī kī bevafā.ī kā nahīñ khaTkā mujhe
dast-o-pā basta khaḌā huuñ pyaas ke sahrāoñ meñ
ai farāt-e-zindagī tū ne ye kyā baḳhshā mujhe
chand kirneñ jo mire kaase meñ haiñ un ke evaz
shab ke darvāze pe bhī denā paḌā pahrā mujhe
sāthiyo tum sāhiloñ par chain se so.e raho
le hī jā.egā kahīñ bahtā huā dariyā mujhe