Akhtar Shumar

wo jis ka aks lahu ko jaga diya karta

Akhtar Shumar

1960
vo jis kā aks lahū ko jagā diyā kartā
maiñ ḳhvāb ḳhvāb meñ us ko sadā diyā kartā
qarīb aatī jo tārīḳh us ke milne kī
vo apne va.ade kī muddat baḌhā diyā kartā
maiñ zindagī ke safar meñ thā mashġhala us kā
vo DhūñD DhūñD ke mujh ko gañvā diyā kartā
use sameTtā maiñ jab bhī ek nuqte meñ
vo mere dhyān meñ titlī uḌā diyā kartā
usī ke gaañv kī rāhoñ meñ baiTh kar har roz
maiñ dil kā haal havā ko sunā diyā kartā
mujhe vo aañkh meñ rakh kar 'shumār' pichhlī shab
ajab ḳhumār meñ palkeñ girā diyā kartā
na chheḌ mujh ko zamāna vo aur thā jis meñ
faqīr gaalī ke badle duā diyā kartā
Top Urdushayar.com