yā to sūraj jhuuT hai yā phir ye saayā jhuuT hai
aañkh to is par bhī hairāñ hai ki kyā kyā jhuuT hai
muddatoñ meñ aaj dil ne faisla āḳhir diyā
ḳhūb-sūrat hī sahī lekin ye duniyā jhuuT hai
ḳhuun meñ shāmil achhūtī ḳhushbuoñ ke saath saath
kyuuñ kahūñ mujh meñ jo bahtā hai vo dariyā jhuuT hai
zindagī ke baare itnā hī kahā sach jāniye
dasht meñ bhaTkā huā jaise bagūlā jhuuT hai