Akhtar Shumar

sitara le gaya hai mera aasman se kaun

Akhtar Shumar

1960
sitāra le gayā hai merā āsmān se kaun
utar rahā hai 'shumār' aaj mere dhyān se kaun
abhī safar meñ koī moḌ hī nahīñ aayā
nikal gayā hai ye chup-chāp dāstān se kaun
lahū meñ aag lagā kar ye kaun hañstā hai
ye intiqām sā letā hai ruuh o jaan se kaun
ye daar chuum ke muskā rahā hai kaun udhar
guzar rahā hai tumhāre ye imtihān se kaun
zamīn chhoḌnā filhāl mere bas meñ nahīñ
dikhā.ī dene lagā phir ye āsmān se kaun
Top Urdushayar.com