Akhtar Shumar

uske nazdik gham-e-tark-e-wafa kuchh bhi nahin

Akhtar Shumar

1960
us ke nazdīk ġham-e-tark-e-vafā kuchh bhī nahīñ
mutma.in aisā hai vo jaise huā kuchh bhī nahīñ
ab to hāthoñ se lakīreñ bhī miTī jaatī haiñ
us ko kho kar to mire paas rahā kuchh bhī nahīñ
chaar din rah ga.e mele meñ magar ab ke bhī
us ne aane ke liye ḳhat meñ likhā kuchh bhī nahīñ
kal bichhaḌnā hai to phir ahd-e-vafā soch ke bāñdh
abhī āġhāz-e-mohabbat hai gayā kuchh bhī nahīñ
maiñ to is vāste chup huuñ ki tamāshā na bane
tū samajhtā hai mujhe tujh se gilā kuchh bhī nahīñ
ai 'shumār' āñkheñ isī tarah bichhā.e rakhnā
jaane kis vaqt vo aa jaa.e patā kuchh bhī nahīñ
Top Urdushayar.com