Akhtar Shumar

tere baghair masafat ka gham kahan kam hai

Akhtar Shumar

1960
tire baġhair masāfat kā ġham kahāñ kam hai
magar ye dukh ki mirī umr-e-rā.egāñ kam hai
mirī nigāh kī vus.at bhī is meñ shāmil kar
mirī zamīn pe terā ye āsmāñ kam hai
tujhe ḳhabar bhī kahāñ hai mire irādoñ kī
tū merī sochtī āñkhoñ kā rāz-dāñ kam hai
isī se ho ga.e mānūs tā.irān-e-chaman
vo jo ki baaġh kā dushman hai bāġhbāñ kam hai
agarche shahr meñ phailī kahāniyāñ haiñ bahut
koī bhī sunñe-sunāne ko dāstāñ kam hai
nigāh o dil pe khulī haiñ haqīqateñ kaisī
ye dil udaas ziyāda hai shādmāñ kam hai
ab is se baḌh ke bhī koī hai pul-sirāt abhī
maiñ jī rahā huuñ yahāñ jaise imtihāñ kam hai
Top Urdushayar.com