ai duniyā tere raste se haT jā.eñge
āḳhir ham bhī apne sāmne DaT jā.eñge
ham ḳhud ko ābād kareñge apne dil meñ
tere āñkh-jazīre se ab kaT jā.eñge
dhund se paar bhī kaam kareñgī apnī nazreñ
aañkh ke sāmne se ye bādal chhaT jā.eñge
āḳhir Dhal jā.egā ''jīvan-rog'' kā sūraj
ham bhī ''okhe-din'' haiñ lekin kaT jā.eñge
log hameñ mahsūs kareñge phuul aur taare
aur ham sochtī ''dil-āñkhoñ'' meñ baT jā.eñge
dekhnā aisī raat bhī aa.egī jab 'aḳhtar'
dhīre dhīre ham tāroñ se aT jā.eñge