Akhtar Shumar

uski chah mein nam nahin aane wala

Akhtar Shumar

1960
us kī chaah meñ naam nahīñ aane vaalā
ab merā anjām nahīñ aane vaalā
husn se kaam paḌā hai āḳhirī sāñsoñ meñ
aur vo kisī ke kaam nahīñ aane vaalā
merī sadā par vo nazdīk to aa.egā
lekin zer-e-dām nahīñ aane vaalā
ek jhalak se pyaas kā rog baḌhegā aur
is se mujhe ārām nahīñ aane vaalā
ishq ke naam pe terā rañg na badle yaar
tujh par kuchh ilzām nahīñ aane vaalā
kaam ko baiThe haiñ aur sar par aa.ī shaam
lagtā hai ab kaam nahīñ aane vaalā
kyuuñ be-kār us shaḳhs kā rasta dekhte ho
vo to 'shumār' is shaam nahīñ aane vaalā
Top Urdushayar.com