laraz uThā hai mire dil meñ kyuuñ na jaane diyā
tirā payām to ḳhāmosh sī havā ne diyā
jalā rahā thā mujhe maiñ ne bhī jalāne diyā
ujālā us ne diyā bhī to kis bahāne diyā
abhī kuchh aur Thahar jaatā mere kahne par
vo jaane vaalā thā ḳhud hī so maiñ ne jaane diyā
vo apnī sair ke qisse mujhe sunātā rahā
mujhe to hāl-e-dil us ne kahāñ sunāne diyā
maiñ shukr us kā na kaise adā karūñ jānāñ
shu.ūr mujh ko mohabbat kā jis ḳhudā ne diyā
karam ke pal meñ ye raushan huā ba-hamdillāh
nahīñ bujhegā mirā tujh se ai zamāne diyā
'shumār' sāmne us ke bhī guftugū ke vaqt
jo rañg chehre pe aayā thā maiñ ne aane diyā