Akhtar Shumar

KHwahish-e-jada-e-rahat se nikalta kaise

Akhtar Shumar

1960
ḳhvāhish-e-jāda-e-rāhat se nikaltā kaise
dil mirā kū-e-malāmat se nikaltā kaise
sāya-e-vahm-o-gumāñ chaar taraf phailā hai
maiñ abhī karb-o-aziyyat se nikaltā kaise
merī rusvā.ī agar saath na detī merā
yuuñ sar-e-bazm maiñ izzat se nikaltā kaise
merī nazreñ jo na paḌtīñ to vahāñ pichhlī shab
ik sitārā sā tirī chhat se nikaltā kaise
maiñ ki barbād huā diid kī ḳhātir jis kī
vo mire dīda-e-hairat se nikaltā kaise
us ke dam hī se to qaa.em hai mirā jāh-o-jalāl
vo mire dil kī hukūmat se nikaltā kaise
jaag baiThā huuñ to dil Duubā nahīñ hai 'aḳhtar'
soyā rahtā to musībat se nikaltā kaise
Top Urdushayar.com