shā.irī merī tapasyā lafz hai bargad mirā
ye zamīñ saarī zamīñ mushfiq zamīñ ma.abad mirā
maiñ gayā kī raushnī huuñ maiñ hirā kā nuur huuñ
tū fanā ke haath se kyuuñ nāptā hai qad mirā
dhyān ke gūñge safar se bhī nikal jā.ūñ magar
rāsta roke khaḌī hai saañs kī sarhad mirā
umr-bhar sūraj thā sar par dhuup thī merā libās
ab ye ḳhvāhish hai ghanī chhāñv meñ ho marqad mirā
kah diyā thā maiñ purānī soch kā shajara nahīñ
aaj tak muñh dekhte haiñ mere ḳhāl-o-ḳhad mirā
mujh se aage bhī haiñ kuchh taaza sadāoñ ke alam
maiñ 'zafar' kā lāDlā huuñ pesh-rau 'amjad' mirā