paḌe the ham bhī jahāñ raushnī meñ bikhre hue
ka.ī sitāre mile us galī meñ bikhre hue
mirī kahānī se pahle hī jaan le pyāre
ki hādse haiñ mirī zindagī meñ bikhre hue
dhanak sī aañkh kahe bāñsurī kī lai meñ mujhe
sitāre DhūñD ke lā naġhmagī meñ bikhre hue
maiñ pur-sukūn rahūñ jhiil kī tarah yaanī
kisī ḳhayāl kisī ḳhāmushī meñ bikhre hue
vo muskurā ke koī baat kar rahā thā 'shumār'
aur us ke lafz bhī the chāñdnī meñ bikhre hue