parā.e logoñ ne tai kar liyā safar merā
ki mere paañv se lipTā rahā hai ghar merā
maiñ umr bhar kā sukūñ de ke bhī rahā maqrūz
vo sūd-ḳhor-e-mohabbat hai bār-e-sar merā
maiñ terī umr ke har ruup kī amānat huuñ
ki pal rahā hai tirī siip meñ guhar merā
vo be-sutūñ bhī mirī zaat jū-e-shīr bhī maiñ
mujhe ujaaḌ gayā tesha-e-hunar merā
vo merā ho ke bhī zāhir nahīñ huā mujh par
ye iḳhtilāf rahā us se umr bhar merā