aañkh se aañsū Tapkā hogā
sub.h kā taarā TuuTā hogā
phail ga.ī hai nuur kī chādar
ruḳh se āñchal sarkā hogā
phail ga.e haiñ raat ke saa.e
aañkh se kājal Dhalkā hogā
bikhrī pattī dekh ke gul kī
kaliyoñ ne kyā kyā sochā hogā
dekh musāfir bhuut nahīñ hai
raah kā patta khaḌkā hogā
āriz-e-gul pe dekh ke shabnam
kaliyoñ ne muñh dhoyā hogā
chup chup rahnā Thiik nahīñ hai
baat baḌhegī charchā hogā
ghuum rahe haiñ shahroñ shahroñ
koī to āḳhir tum sā hogā
aaj kuaañ bhī chīḳh uThā hai
kisī ne patthar maarā hogā
phail ga.ī hai pyaar kī ḳhushbū
koī patiñgā jaltā hogā
mujh se naata toḌ ke sāhil
vo bhī ab pachhtātā hogā