chīḳhtī gaatī havā kā shor thā
jism tanhā jaane kyā sochā kiyā
makḌiyoñ ne jab kahīñ jaalā tanā
makkhiyoñ ne shor barpā kar diyā
vo ḳhushī ke rāste kā moḌ thā
maiñ bagūla ban ke rasta khojtā
maiñ daraḳhtoñ se ḳhushī kā rāsta
jañgaloñ meñ ab chalūñgā pūchhtā
apne hāthoñ se sitāre toḌ kar
maiñ jalā.ūñgā ghaTāoñ meñ diyā
har taraf to uḌ rahī hai dhuul sī
aañkh apnī maiñ kahāñ tak mūñdtā