Sahil Ahmad

nau-ba-nau ek umaDta hua tufan tha main

Sahil Ahmad

1938
nau-ba-nau ek umaDtā huā tūfān thā maiñ
bahte dariyā ke liye ik yahī pahchān thā maiñ
maiñ kisī nuqta-e-be-lafz kā iz.hār nahīñ
haañ kabhī harf-e-anā vaqt kā irfān thā maiñ
detī thī zauq-e-nazar mujh ko gunah kī tarġhīb
yuuñ farishta to na thā haañ magar insān thā maiñ
un se ai dost mirā yuuñ koī rishta to na thā
kyuuñ phir is tark-e-ta.alluq se pashemān thā maiñ
kis tasavvur ke tahat rabt kī manzil meñ rahā
kis vasīle ke ta.assur kā nigahbān thā maiñ
phir pas-e-lafz yahī baat uThī thī kal shab
bikhre lafzoñ ke liye bā.is-e-haijān thā maiñ
is kahānī meñ koī rabt o tasalsul bhī nahīñ
kyuuñ ki is ziist kā sāhil yahī unvān thā maiñ
Top Urdushayar.com