ye zikr aa.ine se sub.h-o-shām kis kā hai
jo gungunāte ho har-dam kalām kis kā hai
bhare hue haiñ sabhī sirf ek ḳhālī hai
agar ye merā nahīñ hai to jaam kis kā hai
jo ahl-e-zarf haiñ pyāse vahī haiñ mahfil meñ
ye daur kis kā hai ye intizām kis kā hai
hamāre naam pe kyā kyā nahīñ huā hai yahāñ
zarā pata to chalāo nizām kis kā hai
tumhāre raaz jo ifshā hue haiñ duniyā par
nahīñ ye kaam tumhārā to kaam kis kā hai
nishāñ surāġh na ho ye tumhārā tarz-e-ḳhās
ye qatl-e-ām magar tarz-e-ām kis kā hai
'kamāl' ne jo paḌhā vaqt-e-qatl maqtal meñ
sunā huā sā lagā vo kalām kis kā hai