bāteñ jo thiiñ durust purāne nisāb meñ
un meñ se ek bhī to nahīñ hai kitāb meñ
mahrūmiyoñ ne bazm sajā.ī hai ḳhvāb meñ
sab ke alag alag haiñ manāzir sarāb meñ
paanī kī tarah ahl-e-havas ne sharāb pī
likkhī ga.ī hai tishna-laboñ ke hisāb meñ
sab naam haiñ durust magar vāqi.a ġhalat
har baat sach nahīñ jo likhī hai kitāb meñ
sad-ātisha agar ho tirā rañg-rūp hai
jo rañg phuul meñ hai nasha hai sharāb meñ
us kā to ek lafz bhī ham ko nahīñ hai yaad
kal raat ek sher kahā thā jo ḳhvāb meñ
kuchh sher shāyad us ko pasand aa ga.e 'kamāl'
hoñToñ ke kuchh nishāñ haiñ tumhārī kitāb meñ