merā sar kab kisī darbār meñ ḳham hotā hai
kūcha-e-yār meñ lekin ye qadam hotā hai
pursish-e-hāl bhī itnī ki maiñ kuchh kah na sakūñ
is takalluf se karam ho to sitam hotā hai
shaiḳh mai-ḳhāne meñ kartā hai iram kī bāteñ
isī mai-ḳhāne kā ik gosha iram hotā hai
ek dil hai ki ujaḌ jaa.e to bastā hī nahīñ
ek but-ḳhāna hai ujḌe to haram hotā hai
rāhbar rā-navardī se pareshāñ hai 'kamāl'
jis taraf jaa.e mirā naqsh-e-qadam hotā hai