uruuj auroñ ko kuchh din hai ahrman kī tarah
faroġh kis ko hai rindoñ ke bāñkpan kī tarah
mirā ḳhayāl nahīñ hai to aur kyā hogā
guzar gayā tire māthe se jo shikan kī tarah
ye sar-zamīn-e-gul-o-lāla so bhī jaatī hai
libāda barf kā oḌhe hue kafan kī tarah
kabhī to guzrūñgā is rahguzār se ho kar
ḳhud apnī taak meñ baiThā huuñ rāhzan kī tarah
ḳhizāñ kā ḳhauf mujhe khaa.e jā rahā hai 'kamāl'
chīnār surḳh na hoñ ātish-e-suḳhan kī tarah