Kamal Ahmad Siddiqi

sharab-KHana tera aisa intiKHab nahin hai

Kamal Ahmad Siddiqi

Lucknow, Uttar pradesh, India

-2013
sharāb-ḳhāna tirā aisā intiḳhāb nahīñ hai
ḳhavās piite haiñ sab ke liye sharāb nahīñ hai
shikār zulm kā jo haiñ unhīñ pe hai har shiddat
vo jo haiñ zālim un par koī itaab nahīñ hai
ye terā farz hai saaqī mile sabhī ko barābar
hai terā mansab saaqī koī ḳhitāb nahīñ hai
yahāñ to koī nahīñ aadmī sabhī haiñ farishte
mire alāva yahāñ par koī bhī ḳharāb nahīñ hai
faroġh-e-kaifiyat-e-bāda se huā hai ye shādāb
na paḌh ye chehra mirā ye koī kitāb nahīñ hai
sarāb vāhima nazroñ ke sāmne maujūd
dhaḌak rahā hai jo idrāk meñ sarāb nahīñ hai
Top Urdushayar.com