Zafar Ghauri

shoale se chaTakte hain har sans mein KHushbu ke

Zafar Ghauri

sho.ale se chaTakte haiñ har saañs meñ ḳhushbū ke
aa.ī hai sabā shāyad vo phuul sā tan chhū ke
ehsās ke jañgal meñ ik aag bhaḌaktī hai
jhoñke kisī gulshan meñ haiñ raqs-kunāñ lū ke
auroñ ne bhī puujā hai ai dost tujhe lekin
yaksāñ to nahīñ hote jazbāt man-o-tū ke
ye ahd-e-tamannā bhī ik daur-e-qayāmat hai
jab husn piye aañsū aur ishq lahū thūke
ham ḳhosha-e-gandum ko jannat se yahāñ laa.e
phir bhī tire dīvāne duniyā meñ rahe bhūke
vo dard ko chintā thā palkoñ se sitāroñ ko
naġhmoñ meñ badaltā hai ehsās ke lab chhū ke
kuchlā hai bahut dil ko sañgīn haqā.eq ne
phir bhī na 'zafar' bhūle qisse ruḳh-o-gesū ke
Top Urdushayar.com