tirā yaqīn huuñ maiñ kab se is gumān meñ thā
maiñ zindagī ke baḌe saḳht imtihān meñ thā
shajar shajar mirī aamad kā muntazir mausam
maiñ barg-e-gul sā havāoñ kī ik uḌaan meñ thā
paTak ke toḌ diyā jis ne nīsha-e-jāñ ko
meñ jū-e-shīr sā pinhāñ usī chaTān meñ thā
añdherī raat meñ samt-e-sadā pe chhoḌ diyā
havas kā tiir jo us jism kī kamān meñ thā
uThā sakā na maiñ dast-e-tahī se patthar bhī
matā-e-ġhair sā vo kāñch kī dūkān meñ thā
ye daur-e-ilm-o-hunar is ko paḌh nahīñ paayā
sahīfa dil kā mirā jaane kis zabān meñ thā