Zafar Ghauri

chal paDe hum dasht-e-be-saya bhi jangal ho gaya

Zafar Ghauri

chal paḌe ham dasht-e-be-sāya bhī jañgal ho gayā
ham-safar jab mil ga.e jañgal meñ mañgal ho gayā
maiñ thā bāġhī ḳhushk qatra bādaloñ ke des kā
sañg-dil lamhoñ se Takrāyā to jal-thal ho gayā
haañ utar aatī haiñ is vaadī meñ pariyāñ chāñd kī
kahte haiñ ik ajnabī sayyāh pāgal ho gayā
ras bharī barsāt meñ khilne lagā dhartī kā ruup
jism kā ākāsh us ḳhushbū se bekal ho gayā
duur khiskī jā rahī hai paañv ke nīche zamīñ
sar ke uupar āsmāñ ā.ankhoñ se ojhal ho gayā
kitne qarnoñ ne tarāshā us but-e-bedard ko
kitnī nasloñ kā lahū us jism meñ hal ho gayā
umr bhar donoñ ko qaid-e-bāhamī kī dī sazā
vo jo iġhvā kā muqadma thā so faisal ho gayā
har nafas hai sañg-bārī dil ke kachche ghaav par
lamha lamha zindagī kā kitnā bojhal ho gayā
Top Urdushayar.com