Zafar Ghauri

dil mein rakh zaKHm-e-nawa rah mein kaam aaega

Zafar Ghauri

dil meñ rakh zaḳhm-e-navā raah meñ kaam aa.egā
dasht-e-be-samt meñ ik hū kā maqām aa.egā
is tarah paḌhtā huuñ bahte hue dariyā kī kitāb
saf.ha-e-āb par ik aks-e-payām aa.egā
qarya-e-jāñ meñ the yādoñ ke shanāsā chehre
ajnabī shahr meñ kis kis kā salām aa.egā
maslahat-kesh to gul-hā-e-satā.ish se lade
sach ke hāthoñ meñ vahī zahr kā jaam aa.egā
raqs-e-raftār se kyā rauñd chalā phūloñ ko
aag par chal ki tujhe lutf-e-ḳhirām aa.egā
ḳhanjar-e-zahr-e-vafā dil meñ chhupā.e kab se
muntazir huuñ ki idhar vo sar-e-shām aa.egā
dīda-e-dil se 'zafar' ḳhvāb bhī chhin jā.eñge
vaqt kahtā hai ki ab aisā nizām aa.egā
Top Urdushayar.com