shab ke tārīk samundar se guzar aayā huuñ
TuuTā taara huuñ ḳhalāoñ se utar aayā huuñ
tujh se jo ho na sakā kaam vo kar aayā huuñ
āsmāñ chhoḌ ke dhartī pe utar aayā huuñ
dasht-e-tanhā.ī meñ bikhrā huuñ havāoñ kī tarah
ik sadā ban ke dil-e-sañg meñ dar aayā huuñ
jaane kis ḳhauf se phirtā huuñ maiñ ghabrāyā huā
kyā balā ban ke maiñ ḳhud apne hī sar aayā huuñ
dil-shikasta se dar-o-bām kī muddat ke ba.ad
ḳhairiyat pūchhne ujḌe hue ghar aayā huuñ
shoḳh rātoñ ke liye mere ta.āqub meñ na aa
dard kā chāñd huuñ ḳhvāboñ meñ nazar aayā huuñ
apnā saaya bhī 'zafar' mujh ko na pahchān sakā
kis na.e bhes meñ maiñ aaj idhar aayā huuñ