Zafar Ghauri

jari hai kab se marka ye jism-o-jaan mein sard sa

Zafar Ghauri

jaarī hai kab se ma.arka ye jism-o-jāñ meñ sard sā
chhup chhup ke koī mujh meñ hai mujh se hī ham-nabard sā
jaate kahāñ ki zer-e-pā thā ek bahr-e-ḳhūñ-kinār
uḌte to bār-e-sar banā ik dasht-e-lāj-vard sā
kis chāñdnī kī aañkh se bikhrī shafaq kī ret meñ
motī sā Dhal ke gir paḌā shaam ke dil kā dard sā
nāzuk laboñ kī pañkhuḌiyāñ thartharā thartharā ga.iiñ
tez-rau bād-e-dard thī chehra thā gard gard sā
mehñdī rachī bahār kā āñgan ḳhushī se bhar gayā
mehmāñ hai ghar meñ aaj vo chāñd sunahrā zard sā
dekhā to ahl-e-shahr sab us ko hī lene aa.e the
ik ajnabī jo saath thā raah meñ kam-navard sā
kis dast-e-nāz meñ 'zafar' ā.īna-e-vajūd thā
bikhrā huuñ kā.enāt meñ har samt fard fard sā
Top Urdushayar.com