saat rañgoñ se banī hai yaad taaza
dhuup likh laa.ī mubārakbād taaza
ban ga.ī jannat to hijrat kar ga.e haiñ
nau-ba-nau hai dasht-e-jāñ ābād taaza
lafz o ma.anī kā ziyāñ hai ḳhud-azābī
lauh-e-dil par hai qalam kī daad taaza
āb-e-tāza ḳhanjar-e-ḳhāmosh ko de
hai burīda lab pe phir fariyād taaza
phir bahāne jā.egā laavā lahū kā
ḳhisht-e-dil par ghar kī rakh buniyād taaza
be-charāġhāñ bastiyoñ ko zindagī de
ik sitam aisā bhī kar ījād taaza
aisī chup se aur dil ghuTne lagā hai
kuchh to ho rūh-e-navā irshād taaza