ḳhvāb rañgoñ se banī hai yaad taaza
dhuup likh laa.ī mubārak yaad taaza
phir bahā le jā.egā laavā lahū kā
sañg-dil par ghar kī rakh buniyād taaza
āb-e-tāza ḳhanjar-e-ḳhāmosh ko de
hai burīda-lab pe ik fariyād taaza
be-sutūnī phir uThā.e sañg sar hai
chāhtī hai jū-e-ḳhūñ farhād taaza
be-charāġhāñ bastiyoñ ko zindagī de
ik sitam aisā bhī kar ījād taaza
āsmāñ sar par bhī kyā qaa.em nahīñ hai
kuchh to kah ai uqda-e-uftād taaza
aisī sañgīñ chup ki dil phaTne lagā hai
kuchh to ai sho.ala-navā irshād taaza