Anees Ansari

mujh pe har zulm rawa rakh ki main jo hun so hun

Anees Ansari

1949
mujh pe har zulm ravā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
mujh ko apne se judā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
maiñ ki maslūb huuñ de mujh ko bhī zālim kā ḳhitāb
sunnat-e-īsā jilā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
mere ghar meñ hai jo ġhāsib to nikālūñ ki nahīñ
mujh pe ilzām-e-jafā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
tere maqtūl pe sargarm haiñ saare munsif
merī lāshoñ ko uThā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
garm aahoñ pe hai ilzām ki huuñ sho.ala-nafas
mujh ko phūñkoñ se bujhā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
kyuuñ sahīfoñ meñ likhā hai ki milegā insāf
lafz-o-mānī na judā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
terī zambīl meñ har chaal purānī hai raqīb
mujh ko apnoñ se laḌā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
apne virse se tirā qabza haTānā hai harīs
naam dahshat ki balā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
maiñ ne āñkhoñ meñ jalā rakhā hai āzādī kā tel
mat añdheroñ se Darā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
gar mirā haq na milegā to bigaḌ jā.egī baat
apne pahlū se lagā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
karbalā rakh ke hathelī pe chalā huuñ ghar se
bai.at-e-zulm haTā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
jab zamīnoñ meñ jaḌeñ haiñ to kidhar jā.ūñgā
merī shāḳheñ na kaTā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
adl kī miTTī meñ ugte nahīñ dahshat ke babūl
apnī miTTī ko safā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
band āñkhoñ se siyah-rū nazar aa.egā 'anīs'
chashm-e-bīnā ko khulā rakh ki maiñ jo huuñ so huuñ
Top Urdushayar.com