Anees Ansari

jahan dar tha wahan diwar kyun hai

Anees Ansari

1949
jahāñ dar thā vahāñ dīvār kyuuñ hai
alag naqshe se ye me.amār kyuuñ hai
ḳhudā āzād thā hākim kī had se
ḳhudā ke shahr meñ sarkār kyuuñ hai
bahut āsān hai mil-jul ke bahnā
nadī aur dhaar meñ paikār kyuuñ hai
hazāroñ rañg ke phūloñ se khiñch kar
banā hai shahd to bekār kyuuñ hai
kisī bhī samt se aa kar parinde
sajā.eñ jhiil to āzār kyuuñ hai
tirī mahfil meñ sab baiThe haiñ aa kar
hamārā baiThnā dushvār kyuuñ hai
banā kar rakh tū ghar achchhā rahegā
tū mālik ban kirā.e-dār kyuuñ hai
tumhāre saath ham aage baḌhe the
hamārī piiTh par talvār kyuuñ hai
ḳhudā se kyā raqābat hai sanam kī
rah-e-masjid nazar meñ ḳhaar kyuuñ hai
ibārat meñ na kar tahrīf bejā
hamāre naam se bezār kyuuñ hai
parinde ko jo mauqa do dikhā de
bañdhe par kā safar lāchār kyuuñ hai
paḌosī ho to phal yā phuul laate
tumhāre haath meñ hathiyār kyuuñ hai
zamīñ phailī huī hai āsmāñ tak
bas ik TukḌe pe yuuñ takrār kyuuñ hai
Top Urdushayar.com