Anees Ansari

bhar nahin paya abhi tak zaKHm-e-kari hae hae

Anees Ansari

1949
bhar nahīñ paayā abhī tak zaḳhm-e-kārī haa.e haa.e
dil ko thāme haiñ lahū phir bhī hai jaarī haa.e haa.e
dard kā ehsās ghaT jaatā agar chāhe koī
ho rahī hai aur ulTe dil-figārī haa.e haa.e
jism to pahle hī zaḳhmī thā magar baaqī thā dil
ab adū ke haath meñ ḳhanjar hai bhārī haa.e haa.e
hijr meñ vaise bhī aatī hai musībat jaan par
par raqīboñ kī alag hai ḳhanda-kārī haa.e haa.e
reza reza kar diyā zālim ne saare jism ko
uḌ rahī hai ḳhaak pairoñ par hamārī haa.e haa.e
dil girafta ho ke chup baiThe haiñ shāyad is tarah
rahm aa.e dekh kar sūrat hamārī haa.e haa.e
dast-e-qātil said banñe se nahīñ ruktā kabhī
hai abas be-chārgī-o-āh-o-zārī haa.e haa.e
jo parinde uḌ nahīñ sakte ab un kī ḳhair ho
aane vaalā hai isī jānib shikārī haa.e haa.e
raah se patthar uThā kar sū-e-zālim pheñk de
gar nahīñ tīroñ kī tujh meñ zarb-kārī haa.e haa.e
ek qibla ik azaañ aur ek majlis ik imaam
kaash aa jaa.e samajh meñ ye tumhārī haa.e haa.e
Top Urdushayar.com