Anees Ansari

dil par yunhi choT lagi to kuchh din KHub malal kiya

Anees Ansari

1949
dil par yūñhī choT lagī to kuchh din ḳhuub malāl kiyā
puḳhta umr ko bachchoñ jaise ro ro kar behāl kiyā
hijr ke chhoTe gaañv se ham ne shahr-e-vasl ko hijrat kī
shahr-e-vasl ne niiñd uḌā kar ḳhvāboñ ko pāmāl kiyā
uthle kueñ bhī kal tak paanī kī daulat se jal-thal the
ab ke bādal aise sūkhe naddī ko kañgāl kiyā
sūraj jab tak Dhaal rahā thā sonā chāñdī āñkhoñ meñ
bhiiḌ meñ sikke ḳhuub uchhāle sab ko mālā-māl kiyā
lekin jab se sūraj Duubā aisā ghor añdherā hai
saa.e sab ma.adūm hue aur āñkhoñ ko kañgāl kiyā
saḳht zamīñ meñ phuul ugāte to kahte kuchh baat huī
hijr meñ tum ne aañsū bo kar aisā kaun kamāl kiyā
āḳhir meñ 'ansārī'-sāhab apne rañg meñ Duub ga.e
us ko duā dī us ko chheḌā shahr abiir gulāl kiyā
Top Urdushayar.com