Anees Ansari

jis ko samjhe the tawangar wo gadagar nikla

Anees Ansari

1949
jis ko samjhe the tavañgar vo gadāgar niklā
zarf meñ kāsa-e-darvesh samundar niklā
kabhī darvesh ke takiya meñ bhī aa kar dekho
tañg-dastī meñ bhī ārām mayassar niklā
mushkileñ aatī haiñ aane do guzar jā.eñgī
log ye dekheñ ki kamzor dilāvar niklā
jab giraftoñ se bhī aage ho pahuñch muTThī kī
tab lagegā ki samundar meñ shanāvar niklā
koī mauhūm sā chehra jo bulātā hai hameñ
bādaloñ kī tarah shakleñ vo badal kar niklā
dil ajab chiiz hai kis miTTī meñ jā kar bo.eñ
jaḌ yuuñ pakḌe ki lage peḌ tanāvar niklā
laash qātil ne khulī pheñk dī chaurāhe par
dekhne vaalā koī ghar se na bāhar niklā
dekhne meñ to dhanak chand hī lamhe thī 'anīs'
saat rañgoñ kā magar dīdanī manzar niklā
Top Urdushayar.com