Anees Ansari

is shahr ke log ajib se hain ab sab hi tumhaare asir hue

Anees Ansari

1949
is shahr ke log ajiib se haiñ ab sab hī tumhāre asiir hue
jab jaañ pe baraste the patthar us vaqt hamīñ dil-gīr hue
kuchh log tumhārī āñkhoñ se karte haiñ talab hiire motī
ham sahrā sahrā Duub ga.e ik aan meñ jogī faqīr hue
tum dard kī lazzat kyā jaano kab tum ne chakhe haiñ zahr-e-subū
ham apne vajūd ke shāhid haiñ sañgsār hue shamshīr hue
ye pahroñ pahroñ soch-nagar rātoñ rātoñ be-ḳhvāb lahar
phir kaise kaTegā dhūp-safar jab piir luTī jāgīr hue
ik umr guzārī hai yuuñ hī sāyoñ ke ta.āqub meñ ham ne
Tuk baiTh ga.e phir chal nikle hañs bol liye dil-gīr hue
kuchh shahr tumhārā tañg bhī thā kuchh tum bhī the kamzor zarā
patthar kī nigāhoñ ke Dar se tum apne hī ghar meñ asiir hue
Top Urdushayar.com