Akbar Hyderabadi

jin pe ajal tari thi un ko zinda karta hai

Akbar Hyderabadi

1925
jin pe ajal taarī thī un ko zinda kartā hai
sūraj jal kar kitne diloñ ko ThanDā kartā hai
kitne shahr ujaḌ jaate haiñ kitne jal jaate haiñ
aur chup-chāp zamāna sab kuchh dekhā kartā hai
majbūroñ kī baat alag hai un par kyā ilzām
jis ko nahīñ koī majbūrī vo kyā kartā hai
himmat vaale pal meñ badal dete haiñ duniyā ko
sochne vaalā dil to baiThā sochā kartā hai
jis bastī meñ nafsā-nafsī kā qānūn chale
us bastī meñ kaun kisī kī parvā kartā hai
pyaar bharī āvāz kī lai meñ maddham lahje meñ
tanhā.ī meñ koī mujh se bolā kartā hai
us ik sham-e-farozāñ ke haiñ aur bhī parvāne
chāñd akelā kab sūraj kā halqa kartā hai
ruuh barahna nafs barahna zaat barhana jis kī
jism pe vo kyā kyā poshākeñ pahnā kartā hai
ashkoñ ke sailāb-e-ravāñ ko 'akbar' mat roko
bah jaa.e to buujh ye dil kā halkā kartā hai
Top Urdushayar.com